Dharm kya hota hai
Dharm kya hai
Apne se kamjor par kabhi baar na karna .Bade or budon par kabhi haath na uthana kintu agar bade ya bude hi kuch galat kar rahe ho jo bardast karne layak na ho us samay chup baithna bhi adharm ka sath hoga dharm ka nahi .jo adharm ka sath dega usko koi nahi bacha payega kyonki bo bhi bhaghban ke dwara banaya hua manav hi hai bo amrit peekar nahi Aaya hai jo bo bach jayega lekin jo dharm ka sath dega usko mouch prapt hoga aur jo adharm ka sath dega usko nark, jaise Aap kisi bhi pepar ko dene jate ho to Aapne mehnat ki ho tou Aap pepar fatafat likh dete ho aur Agar mehnat nahi ki ho tou Aapke liye pura din bhi kam hai pepar karne ke liye theek usi prakar bhaghban ne hume is duniya mai bheja hai aur yahan hum jaisa karenge vaisa hi hume result milega
jaise pepar dene ke baad result mai do position hoti hai fail ya pass theek usi prakar Aap jaisa is duniya mai karenge usi hisab se Aapko Aapke karmon ka hisab milega Accha karenge to swarg aur bura karenge to nark Ab mai Aapko ek example se aur amjhana chahtha hoon.maan lijiye bhaghban hamare teacher hai jo humesha accha karne ki siksha dete hai or ye duniya ek class hai jisme hum sab rehte hai aur jab koi paida hota hai usi din se uski pariksha chalu ho jati hai aur paida hone se parmahatma mai bileen hone tak uski pareeksha chalti rehti hai aur jab beh vyakti parmahatma mai vileen ho jata hai tab usko bhaghban yani teacher result dikhate hai Ab Aapne jaisa pepar diya hua hota hai usi prakar ka Aapko result dekhne ko milta hai agar Aapne pepar badhiya diya to pass aur bekar diya to fail ye sab example ke liye tha lekin baat pate ki thi Aap jaisa karm karoge Aapko baisa hi fal milega ho sakta hai is janm mai mile ya na mile tou Aapko agle janm mai milega lekin milega jarur.isiliye humesha dharm ka sath dena chaiye chahe bal se ho ya chal se.
Jay dharm |🚩
Jay dharm |🚩
Comments
Post a Comment